Ya Rab
Yarab abb ke jo mein ghar badloon tau aisi parosan de Jo qalb ko garma de jo rooh
ko tarpa de
Tafreeh
Apni Zouja kay Taruf main kaha
aik shaks nay Dil say in ka mutarf hoon main zabani hi sahi Chaye bhi achi banati hayn meri begam magar Moo bananay
main to in ka koi saani hi nahi
Jab say Aienak lagi nazroon wali
Zehar lagnay lagi hay ghar wali
Hay mezbaani ka ye takaza, kay aaye mehmaan to muskura do Magar tabiyat ye
chahti hay galay milo or gala daba do
Agar gussa hi karna hay to gussa is kadar karlo Tumhara moon jidhar
hay peeth bhi apni udhar karlo
Larkiyo Main Kia Raka hai
KATAL KERNA HAI TO KHANGER SAY KERO , TALWAAR MEIN KIYA REKHA
HAI, ISHQ KERNA HAI TO KHUDA SAY KERO , LERKIYON MEIN KIYA REKHA HAI..........!
PHOOLON KAY BAAGO MEIN
MERA INTEZAR KERNA , MEIN NA AAO TO GADAY SAY PIYAAR KERNA.....!
CHAT PATI HALEEM MEIN LEEMBU NICHOR DUN, DIL
TO CHAHTA HAI TERA MU TOR DUN.....!
Khichri
BAZAHIR WO MERA KHAYAL KARTI HAI JHOOT BOLTI HAI MAGAR KAMAL KARTI HAI
DIL
HAI MERA LOSE ISAY NA KARNA USE AGHAR HOGAYA FUSE TUMHAI PARANGAY SHOES
APPLE KAT'TA HO KNIFE SE PANI PITA HO
PIPE SE KIYA ZAMANA AGAYA HAi JUTAI KHATA HO WIFE SE
HUM CHAHAIN AAP KO AAP CHAHAIN KISI AUR KO AAP JISAY
CHAHAIN KHUDHA KARAY WO CHAHAIN KISI AUR KO
TU SAWAL NAHI EK PHALI HAI MERI MANZIL TU NAHI TARI SAHELI HAI
TU SHAMA HOTI MAIN PARWANA HOTA NA TU COACHING JATI NA MAIN DIWANA HOTA
PYAR MAIN KISI NE DHOKHA KHAYA TO
KISI NE KSAM KHAI HAI HUM WO MAJNOO HAI JIS NE SIRF LAAT KHAI HAI
DUNIYA SE JO DARAY USAY KAHIL KHATE HAI DUNIYA
JIS SE DARAY USAY SHAIRE KHATE HAI
SHAIR CHARA SAMAJ KAR HAR GHADHA CHARNE LAGA URDU ZABAN AATI NAHI SHAIRE KARNE
LAGA
SHAMA RO RO KAY PARWANOO SE KHA RAHI HAI MUJAI RUMAL LA DO MARI NAAK BHA RAHI HAI
HUM DIL KI THABHAI
KA SAMAN NA KARANGAY BUN JAINGAY DHULAY MAGAR HAAN NA KARANGAY
PANI AANAY KI BAAT KARTE HOO DIL JALANE KI BAAT
KARTE HOO CHAr DIN SE MOO NAHI DHOIYA UM NAHANE KI BAAT KARTE HOO
PHOOL KO MAT TORO KANTA LAG JAI GA LARKI
KO MAT CHAIRO CHANTA LAG JAI GA
Aisi Apni Wife Ho
Apni aaisee wife ho,. 5'6" jiski height ho, Jeans tight tight ho, Chehra
jiska bright ho, Umar 22 se 27 ho, Aise apni Wife ho.
Sadak per sab kaheN kya cute ho, Bhir me sab kaheN
side ho, side ho, Pindi, Islamabad ya Peshawar ki paidaish ho, Sas ki khidmat jiski khwahish ho Aisi apni Wife
ho.
Padosi jab baat karay to haath me knife ho, Dinner ke waqt candle light ho, Ham me tum me kabhi na koi
fight ho, Milnay ke baad dil delight ho, Aise apni Wife ho.
LARKI KA JAWAB
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
6'2" jiski height
ho Jeans dheeli magar body tight ho Biwi ka her nakhra uthaye, itna mizaaj uska light ho Husband apna aisa bright
ho
Uff tak na kare itna quiet ho Dinner banaye wo jab bhi romantic night ho Shopping ker ke jab bhi aoon,
bolay begum tum kitni nice ho Husband apna aisa bright ho
Mujhay rani bana ker rakhay, to phir zindagi delight
ho Saas sussar ke samne kahay, jaan tum hamesha right ho Hamesha jo haar maan jaye, jab bhi kabhi fight ho Husband
apna aisa bright ho
Jaha chahoon jaoon, jo chahy karoon, kuch is tarah ki life ho Her doosray week ghoomne phirne
ki flight ho Aisa ho jaye to mein urron aasman mein, jaisay ke kite ho Husband apna aisa bright ho
Tumse Mila Main Kal Tou
Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili
to kehti ho: Your file not found!
Aisa bhi nahin hai ke, I don't like your face
Par dil ke computer
mein, nahin hai enough disk space
Ghar se nikalti ho tum jab, pehen ke evening gown
Too many requests
se, ho jaata hai server down
Tumhaare liye pyaar ki application, create main karoonga
Tum usse debug
karna, wait main karoonga
Tumhaara intezaar karte karte, main so gaya
Yeh dekho mera connection, time
out ho gaya
Pyar Ka ComputerAbhi
abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo Aab main dil ki hard disk pe aur
kitni files daaloo
Apne chehare se ruswaai ka error to hatao Ai jaaneman apne dil ka password to batao
Woh
to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain
Roz
raat ko aap mere sapne main aate ho Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho
Tere pyar ka email mere
dil ko Lubhataa hai Par beech main tere baap ka virus aataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar Hamaare
dil ki site pe kabhi enter to maro yaar
Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga Jaaneman tere baap ko Shift
Delete kar doonga
Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai Warna baaki cases main to copy paste kiya karte
hai
Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file
Software Ke Phool
Imagine Guru Dutt after working for few months in Software Industry would make
a movie "software kephool" & include this song:
yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya, yeh insaan
ke dushman, cursors ki duniya yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya; yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
Yahaan
ek khilona hai programmer ki hasti ye basti hai murda bug-fixers ki basti yahaan par to raises hai, inflation se sasti yeh
Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi excel mein uljhan, winword
mein udaasi yeh office hai ya aalame microsoft ki yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
jalaa do ise,
phoonk daalo yeh monitor mere saamne se hataa daalo yeh modem tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer yeh Product
agar chal bhi jaaye to kya hai?
Larkiya
hazaroo larkia asi ke har larki pay dam nikle jis larki pay dam nikle wo larki
ghar se kam nikle
phool kharab nahi hota makhia kharab karti hai larka kharab nahi hota larkia kharab karti hai
himmat
hai to duniya se bagawat karlo warna jaha maabap bolay waha shaadi karlo
Doobte ko tinkey ka
doob te ko tinkay ka sahara chahye shadi k liay behnon ka ek ishara chahye hazar
nuks nikalti hain larke k chahre main koi pooche to un se kia sitara chahye chaar shararon se baat nahi banne wali
saath main to un ko ek khatara chahye behno! karo khayal kam hogaye hain baal warna kahen ge woh larka hamen karara
chahye kitni bar kaha baaji larki hai yehi behter mughay bhi to aakhir gunahon ka kuffara chahye tum bhi sunlo larki
walon yeh daastaaan phir na kehna hamen interview doobara chahye ab to reh guzar main aakay par gaya hoon le jao
jis ko bhi yeh baaboo bichara chahye kion dikhayi larki walon ki itni sharafat jawed woh kehte hain hamen larka thora
aawara chahye
More Shers
Log kehtay hain kayamat kay din marr jaeen gay Hum bhi bohot chalaak hai,mangi thallay
war jaeen gay
Wo ankh bari pyaari thi jo hum nay usay mari thi Wo sandle bari bhari thi jo us nay hamay mari thi
Mera dil para hai loose Is ko matt karo tum use Warna parain gay tum ko shoes
"Sahib Zaday kiya karte
hain" Larki Waloon ne poocha "Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain" Larkay ki amman yeh bolin....kam kare
us ki joti "do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku hain"
nakam muhabbat ka har eik dukh sehna.. .har haal
main anjam se darte rehna Qudrat ka barra anjam hai jaidi........ mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna!
Rab na
dikhaye Tooba Tooba! nanga pinda nanga sina bara kam33na Dish Antena
Ishq main fanni kharabi...........Munqata
hi ho geya saab silsila Is tarha toota hai un se wasta....jis tarha T.V main toote rabta
Rat ka waqt hai or masjid
hai qareeb uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon ghar main hain filhal jitne bhi purane jote aap bhi jake badal
lain main badal aya hoon
or bhi chizain lut chuki hain dil ke sath yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad is
liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main " eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad"
bhains rakhne ka
takalluf hamse ho sakta nahin ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim
kis liye kam karne ke liye abba jo hai rakha hua
Utha kar phool ki patti, nazaakat se masal daali Ishaarey se
kaha Hum dil "Aisa" haal kartey hain
dil karta hai keh uss kay nazook hontoon koo chuum loonnnnn magar uss kee behteee
hooyee naak nay meraa iradaa hee badal diyaaa
chandni chand se hogi to sitaroon ka kiya ho ga mohabbat eik se hogi
to hazaroon ga kiya ho ga
Some Shers
Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay? Waqt aanay per behen bhai ban jaeen
gay
Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon
Mohabbat mujhay un jawano se hai Jo khatay peetay gharano se hain
Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho
ga Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga
Itnay dino se jalanay nahi aya Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya Kehta
tha saath jiyen gay saath marain gay Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya.
Ghar se roz jata
hai wo, Maa ko bohot rulata hai wo Kambakht baap, Sab ko hi satata hai wo
Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar
per Sadqay jaoo tumhari patli kamar per
Tum bhi becahara,hum bhi becahara Fittay mu tumhara,fittay mu hamara
Hum nay usay dekha angle badal kar Us nay hamay mara sandle badal kar
Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye
Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar Tum kha gaye is ko naswaar samajh
kar
Dabbay may dabba dabbay may khargosh Nana nay aankh mari nani behosh
Khuda karay sab haseenaao ke
baap mar jaeen Maut ka bahana ho aur hum in kay ghar jaeen
Ishq kay samander main ghota lagaya Pani both thanda
tha main bahar nikal aya
Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha
|